Hazratย Imam Ali Al-Hadi (also Al-Naqi)ย

๐ญ๐ญ 3 Rajab ul Murajjab Yaum e Shahadat 10we Tajdar e Imamat o Wilayat Hazrat Sayyiduna Imam Ali Naqi Al Hadi ibn Hazrat Sayyiduna Imam Muhammad Taqi Al–Jawwad (Alaihumus Salaam)
.
An-Naqi = Paak, Pure
Al-Hadi = Raasta Dikhane Waale, Guide
.
al-Muโatazz ke zamaane me aap ko qaatil zeher diya gaya. Jis ki wajah se aap ko shadeed dard hone laga aur aap ki shahaadat hui. ๐ญ
.
ุงููููููู
ูู ุตูููู ุนูููู ุณููููุฏูููุง ู
ูุญูู
ููุฏู ููุนูููู ุขูู ุณููููุฏูููุง ู
ูุญูู
ููุฏ

Aapke Laqab “al-Hadi” ka matlab hai “Raata dikhane Waale!” Aur “An-Naqi” laqab ka maana hai “Paak”!
Aapki Bargah me Khiraj-e-Aqidat pesh karen!
al-Fatiha
(Aur 5 Rajab Aap Alaihissalam ke Milad ka Din hai)
Allahumma Salle Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin
SallAllahu Alaihi wa Ala Aalihi wa Baarik wa Sallim

Yaume Shahadat
Aaimma e Ahle Baith Ke 10we Imaam Tajdare Imamat wa Wilayat Hazrat Syedna Mola Imaam Ali Naqi Al Hadi (Alahis Salam)
Aapki Wiladat 5 Rajab ul Marjab 214 Hijri Mutabik 8 September 829 Esvi Me Madina Paak, Saudia Arabia Me Hui, Aapki Shahadat 3 Rajab ul Marjab 254 Hijri Mutabik 21 June 868 Esvi Me Hui, Aap Hazrat Syedna Mola Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Ke Parpote Hazrat Syedna Mola Imaam Muhammad Taqi Jawwad (Alahis Salam) Ke Shahzade Aur Hazrat Syedna Mola Imaam Hasan Askari (Alaihis Salam) Ke Walid e Majid The, Aap Aaimma e Ahle Baith Ke 10we Imaam Hain, Aapka Mazar Mubarak Samarra Sharif, Iraq Me Marjai Khaliak Hainโฆ