Design a site like this with WordPress.com
Get started

2 Shaban Yaum e Shahdat Imam Abu Hanifa Radiallahu anhoo

2 Shaban ul Muazzam

Yaume Shahadat

Sultan ul Muhaddiseen Imaam ul Muslimeen Sayyed ul Fuqha Imaam ul Aaimma Siraj ul Ummat Imaam e Aazam Abu Hanifa Hazrat Noman Bin Sabit (Razi Allahu Tala Anhu)

Aapki Wiladat 20 Jamadi ul Awwal 80 Hijri Baroz Peer Mutabik 4 August 699 Esvi Me Kufa (Iraq) Me Hui, Aapki Shahadat 2 Shaban 150 Hijri Mutabik 767 Esvi Me Hui, Aap 9 Aaimma e Ahle Baith Ke Shagird Hain, Aap Hazrat Imaam Muhammad Baqar, Hazrat Imaam Zaid Bin Imaam Zainul Aabedin, Hazrat Imaam Abdullah Bin Imaam Zainul Aabedin, Hazrat Imaam Jafar Sadiq, Hazrat Abdullah Bin Imaam Hasan Al Musanna, Hazrat Imaam Hasan Al Musallas, Hazrat Imaam Hasan Bin Imaam Zaid, Hazrat Imaam Hasan Bin Imaam Muhammad Al Hanafiyya, Hazrat Imaam Jafar Ibne Tammaam Ke Shagird Hain, Imaam e Aazam Abu Hanifa Ka Mashoor Qaul Hain:- Zindagi Ke Jo 2 Saal Maine Imaam Muhammad Baqar Aur Imaam Jafar Sadiq Ke Qadmo Me Bitaye Agar Meri Zindagi Me Wo Do Saal Na Hote To Me Halaak Ho Gya Hota, Aapne 40 Saal Tak Isha Ki Wuzu Se Fajr Ki Namaz Padhi Hain, Aapne 55 Martaba Hajje Baitullah Ki Sa’adat Hasil Ki Hain, Ak Martaba Aap Huzoor (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ke Roze Anwar Par Ziyarat Ke Liye Hazir Hue Aapne Salam Arz Kiya :- “Assalamu Alaikum Ya Sayyed ul Mursaleen” To Huzoor (Alaihis Salam) Ke Mazar Mubarak Se Aawaz Aayi :- “Wa Alaikum Assalam Ya Imaam ul Muslimeen, Aap Aaimma e Araba Me Se Hai, Aapka Mazhab e Fiqh Hanafi Nam Se Mash’hoor Hain, Aur Duniya Me 50% Se Zada Musalman Uski Taqleed Karte Hain, Aapke Mash’hoor Shagird Imaam Muhammad Al Shaibani, Imaam Qazi Abu Yousuf, Imaam Abdur Razzaq Hain, Hazrat Fuzail Bin Ayyaz, Hazrat Ibrahim Bin Adham, Hazrat Bishr Haafi Ne Bhi Aapse Faiz Hasil Kiya, Aap Har Saal Mahe Ramzan Me Roz Ak Bar Din Me Aur Ak Bar Raat Me Quran Sharif Mukammal Kiya Karte The Aur Is Tarah Taraweek Me Imamat Ke Doran 1 Quran Sharif Mukammal Karte The Is Tarha Aap Pure Ramzan Me 61 Quran Sharif Mukammal Kiya Karte The, Aap Ahle Sunnat Ke 4 Fiqh Ke Imamo Me Se Awwal Imaam Hain, Aapne Ilme Fiqh Ke Usool Banaye Use Madawwan Kiye Aur Quran o Sunnat Ki Roshni Me 12 Lakh 90 Hazar Masayel Hal Kiye, Aapne 72 Sahaba e Ikram Ki Ziyarat Ki Hain Aap Bil’ittefq Tabaeen Hain, 150 Hijri Mutabik 767 Esvi Me Abbasi Khalifa Abu Jafar Mansoor Ne Aapko Qazi Ke Ohade Ke Liye Kaha, Aapke Inkar Karne Par Usne Aapko Qaid Me Daal Diya Aur Bhut Aziyat Di Aur Aakhir Me Zehar Dekar Aapko Shaheed Kar Diya, Jab Aapne Mehsoos Kiya Ki Zehar Diya Gaya Hai To Foran Aapne Wuzu Kiya Aur Namaz e Shukur Ada Karne Lage Halat e Namaz Me Hi Sajda Ki Halat Me Aapka Wisaal Hua, Aapka Jis Jagah Wisaal Hua Waha Aapne 7000 Martaba Quran Sharif Mukammal Kiya Tha, Aapke Janaza Me 50000 (50 Hazaar) Se Zada Log Shamil Hue Aur Kaiyi Baar Namaz e Janaza Padhayi Gayi, Aapka Mazar Mubarak Baghdad Sharif, Iraq Me Marjai Khaliak Hain…

2 Shaban: 2 Shaban Yaum e Shahadat Mureed e Imam Zaid e Shaheed (Alaihis Salam)
Gulam e Ahle Bait۴
Hazrat Nauman Bin Sabit Imam e Aazam Abu Hanifah
(RadiAllahu Ta’ala Anhu)

Kaun hain Imam-e-Aazam
9 Aaimma-e-Ahle Bayt ke Shagird hain Imam-e-Aazam
Saare Aaimma-e-Fiqh ke balke Fiqh (khud as a Subject) ke Imam! Sahih Sitta ke Aaimma-e-Hadees including Imam Bukhari me Imam! Jinhe Saare Imam “Imam-e-Aazam” ke laqab se zikr karte hain, Wo Hazrat Imam-e-Aazam Imam Abu Hanifa RadiAllahu Ta’ala Anhu

Aapko itna uncha Muqaam kaise haasil hua? Isliye hasil hua ke 9 AAIMMA-E-AHLE BAYT ke Shagird hain Imam-e-Aazam Abu Hanifa!! Aap Shagrid hain
Imam Muhammad al Baqir ke,
Imam Zaid bin Imam Ali Zain ul Aabideen ke,
Imam Abdullah ibne Imam Zain ul Aabideen ke,
Imam Jafar as-Sadiq ke,
Imam Abdullah Ibne Imam Hasan al-Musanna ke,
Imam Hasan al Musallas ke,
Imam Hasan ibne Imam Zaid ke,
Imam Hasan Ibne Imam Muhammad al Hanafiyya ke,
aur Imam Jafar Ibne Tammaam ke!
(Alaihi-Muswalatu was-Salaam)

aur Aapka Mashoor Qaul hai
“Zindagi ke jo 2 Saal Mai Imam Muhammad al Baqir aur Imam Jafar as-Sadiq ke Kadmo me baitha, agar Meri Zindagi me Wo 2 saal na hote to Mai halaak hogaya hota!!” Jab Sayyeduna Imam Zaid bin Ali Alaihissalam ne jabirana hukumat ke khilaf Haq ki aawaz buland ki to hukumat me Imam-e-Aazam ko Unke khilaf fatwa dene keliye kaha. Imam-e-Aazam ne fatwa diya, fatwe me ye kaha ke jo shakhs Imam Zaid Alaihissalam ko support karega Allah Ta’ala usey Ahle Badr jaisa Sawab Ata Karega!! Itne Bade Aashiq e Ahle Bayt they Aap aur itne nidar!! Jab Imam Zaid Alaihissalam ko Shaheed kardiya gaya to Hazrat Imam Nafs uz Zakiyya Alaihissalam ne Haq ki Aawaz Buland ki to Imam-e-Aazam Unke Mureed hogaye aur full support kiya!

Jo Imam Ahle Bayt ka Haq ki Aawaz buland karta, Imam-e-Aazam Unki Tehrik ko support karte aur theyle bharke bharke paise bhejte!! Aapki Ahle Bayt-e-Pak se aisi Bepanah Muhabbat dekhkar hukumat ne Aapko jail me daal diya aur fir Zindagi me aakhri daur wahi bita aur Ishq-e-Ahle Bayt ki “Saza” me bilaakhir Aapka Janaza bhi jail se nikla!
Aur Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri farmate hain: “Allah ki Izzat ki Kasam, Tajdar-e-Kainat ke Nalayn-e-Pak ki Kasam Aalam-e-Roaya (Aalam-e-Khwab me) 9 Saal tak Imam-e-Aazam Abu Hanifa se padha hun!!
.
.
Alhumdulillah Har Amal Allah o Rasool Ki Raza Ke Khatir
.
Rah e Haq = Qur’an + Ahle Bait۴
.
Sirat e Mustaqeem = Maula Ali۴
.
Hub e Aalae Nabiﷺ Aulad e Ali۴ Asal Musalmani Ast
.
.
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد.
.

Imame Jafar Sadiq a.s. Ki Bargah Me
Agar 2 Saal Me Talim Hasil Na Karta To Mai Halak Hojata
IMAME AZAM ABU HANIFA

9 Aaimma-e-Ahle Bayt ke Shagird!
Saare Aaimma-e-Fiqh ke balke Fiqh (khud as a Subject) ke Imam! Sahih Sitta ke Aaimma-e-Hadees including Imam Bukhari me Imam! Jinhe Saare Imam “Imam-e-Aazam” ke laqab se zikr karte hain, Wo Hazrat Imam-e-Aazam Imam Abu Hanifa RadiAllahu Ta’ala Anhu ka URS e Pak sabko Mubarak!

Imam-e-Aazam ko itna uncha Muqaam kaise haasil hua? Isliye hasil hua ke 9 AAIMMA-E-AHLE BAYT ke Shagird hain Imam-e-Aazam Abu Hanifa!!

Aap Shagrid hain
Imam Muhammad al Baqir ke,
Imam Zaid bin Imam Ali Zain ul Aabideen ke,
Imam Abdullah ibne Imam Zain ul Aabideen ke,
Imam Jafar as-Sadiq ke,
Imam Abdullah Ibne Imam Hasan al-Musanna ke,
Imam Hasan al Musallas ke,
Imam Hasan ibne Imam Zaid ke,
Imam Hasan Ibne Imam Muhammad al Hanafiyya ke,
aur Imam Jafar Ibne Tammaam ke!
(Alaihi-Muswalatu was-Salaam)

aur Aapka Mashoor Qaul hai
“Zindagi ke jo 2 Saal Mai Imam Muhammad al Baqir aur Imam Jafar as-Sadiq ke Kadmo me baitha, agar Meri Zindagi me Wo 2 saal na hote to Mai halaak hogaya hota!!”

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: