Design a site like this with WordPress.com
Get started

7 Shaban Yaum e Wiladat Hazrat Qasim Ibn Hasan AlaihisSalam

*7 Shaban ul Muazzam*

*Yaume Wiladat e Ba’Sadaat*

*Aulad e Rasool Nabira e Mohsin e Islam Sarkar Abu Talib (Alaihis Salam) Noor e Nazar e Mola e Kaynat Mola Imaam Ali (Alaihis Salam) Jigar Gosha e Syyeda e Kaynat Syyeda Fatima Zehra (Salamun Aleha) Farzand e Mola Imaam Hasan Mujtuba (Alaihis Salam) wa Syyeda Umm e Farwa (Salamun Aleha) Hazrat Syedna Mola Imaam Qasim (Alaihis Salam)*

*Tamaam Aalam e Islaam Ko Bhut Bhut Mubarak*

Hazrat Ameer Qasim Shahzade Hai Nawasa e Rasool , Sardar e Jannat, Ameerul Momineen, Khatimul Khulfah e Rashideen Hazrat Imam Hasan Mujtaba Ke .

Shahzada Ameer Qasim Ki Walida Hazrat Salma Jo Apni Kunniyat Umme Farwa Ke Naam Se Mashoor Hai.

Ameer Qasim Ki DadiJaan Sayyidah Fatimah Zahra Aur DadaJaan Mawla Ali Sher e Khuda Hai.

Hazrat Ameer Qasim Ki Wiladat 7 Shaban ul Muazzam 47 Hijri Ko Madinah Munawwarah Mein Hui.

Hazrat Ameer Qasim Ne 3 Saal Apne Baba Jaan Imam Hasan Mujtaba Ka Faiz Paaya. Aur 50 Hijir Mein Imam Hasan Mujtaba Ki Shahadat Hui.

Hazrat Qasim bin Hasan Behadh Haseen o Jameel Apne Baba Ki Tasveer The .. Jab Aap Maidan e Karbala Mein Aaye Toh Yuhn Laga Ke Sehra Mein Roshan 14vi Ka Chand Araha Hai.

Hazrat Ameer Qasim Ki Tarbiyat Aapke Chacha Jaan Hazrat Imam Mawla Hussain Aapki Phuphi Jaan Sayyidah Zainab o Chacha Jaan Hazrat Ghazi Abbas Alamdar Ne Ki. Imam Hussain Apne Bhatije Se Behadh Mohabbat Karte.

Hazrat Ameer Qasim Ne Jung Karne Ka Hunar Chacha Jaan Imam Hussain o Hazrat Abbas Se Sikha.

Aap Mein Apke Dada Jaan Mawla Ali ul Murtaza Ki Fasahat O Balaghat o Shuja’at Thi.

Aap Ne Maidan e Karbala Mein Azeem Jung Ki … Yazeedi Sipahiyo Ko Aap Ek Ke Baad Ek Wasil e Jahannum Karte Rahe… Mashur JungJu Arzak aur Uske Teen Bete Ko Jab Apne Wasil e Jahannum Kiya Toh Yazeedi Fauj Khaufzada Hokar Ek Sath Hamla Karne Lagi Aur Apko Zakhmi Kar Diya…

Aapne Apne Chacha Jaan Imam Hussain Ko Ya Ammu (Aye Mere Chacha) Kehkar Pukara ..

Mawla Hussain Jaldi Aye Aur Dushmano Ko Bhagaya Aur Hazrat Qasim Ko Apne Seenay Se Lagaya Aur Khaime Ki Taraf Laney Lagey .. Aur Pucha Beta Aapko Maut Kaisi Lagh Rahi Hai Hazrat Qasim Ne Farmaya Shehad Se Zyada Meethi…

Imam Hussain Hazrat Qasim Se Behadh Mohabbat Karte Aur Aap Mein Apne Bhai Imam Hasan Ko Dekhte 🌹

Hazrat Ameer Qasim Ka Roza Apke Chacha Jaan Imam Hussain Ke Roze Ke Kadmon Ki Taraf Karbala Mu’alla Mein Maujood Hai.

7 Shabaan ul Muazzam Yaum e Milad 🎂 Shahzada e Imam Hasan Mujtaba
The Prince of Karbala Hazrat Ameer Qasim ibn Hasan ibn Ali ibn Abi Talib (عليهم الصلاة والسلام) Mubarak Ho.

اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ

Wiladat e hazrat Qasim bin Hassan Alaihisalam Saare Muhibbin e Ahle baith۴ e Rasool ﷺ ko Mubarak Ho 💐🌹

Aap woh hasti hai jinke liye Imam Hassan ne khat likha tha apne akhri waqt me ke “Aye mere bete Qasim ek waqt aisa ayega jab mera Bhai Hussain tanha hoga koi aur badi tadat me log uske khilaf hunge toh us waqt tum mere bhai ka sath dena aur Meri taraf se mere bhai pr Qurban ho jana.

Imam Hassan Alaihisalam ke shahadat ke baad jab bhi Imam Hussain Alaihisalam ko unki yaad aati toh woh hazrat Qasim ko dekh liya krte the

Hassan ki goad mein aye woh muskuratay hue,
Mubarak aap ko bhi ho Wiladat-e-Qasim
.
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد

Jab Ameerul Momineen, Khatimul Khulfah e Rashideen, Hazrat Imam Hasan Mujtaba AlaihisSalam Ke Shahzade Hazrat Qasim AlaihisSalam Ki Wiladat Hui ..

Imam Hasan Mujtaba AlaihisSalam Ne is Khushi Ke Mauke Par Ahle Madinah Ke Liye Dastar Khwan e Aam Ka Ehtemam Kiya Aur Ahle Madinah is Dastar Khwan Se Mustafiz Hue,

Jab Hazrat Qasim AlaihisSalam 5 Maah Ke Hue Toh Aap Dudh Nahi Pi Rahe The ..

Aapki Walida Hazrat Umme Farwa Salamullahi alaih Ne Imam Hasan Mujtaba AlaihisSalam Ko Ye Bataya Toh Imam Hasan Mujtaba Ne Farmaya Ye Mahina Muharram ul Haram Ka Hai Aur Ashure Ka Din Hai .. Ye Jab Guzar Jayega Shahzada Qasim Dudh Piney Lag Jayega

Allahu Akbar!! Goya Allah Ne inhey Roz e Azal Se Karbala Ke imtehan Ki Tayyari Karayi Thi,

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Aalaehi Wa Sallam Ke Walidain Ke Wisal Ke Baad Aap Ke Chacha Hazrat Abu Talib Ne RasoolAllah Ko Badi Mohabbat Se Paala

isi Tarha Jab Hazrat Imam Hasan Mujtaba AlaihisSalam Ki Shahadat Hui , Hazrat Qasim Ko Aap Ke Chacha Imam Hussain AlaihisSalam Ne Badi Mohabbat Se Paala.

Allahumma Salle Ala Muhammadinil Mustafa
Wa ‘Ali Al-Murtadha Wal Butool Tayyiba
Was Sibtaynil Hasani Wal Hussain
Wa Sali ‘ala Zain Al-‘Abidin Wal Baqir
Wa Ja’far Al-Sadiq Wal Kadhim Wa ‘Ali Al-Ridha
Wa Muhammad Al-Taqi Wan Naqi
Wa ‘Ala Hasan Al-Askari Wa Salli ‘Ala Imam Al Hujjah Sahib uz-Zaman Muhammad Al-Mahdi
Al-Muntadhar

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: