Hazra Lal Shahbaz Qalandar Sarkaar Ke Wo Ashaar Jo Aap Ne Ahl e Bait e Athaar Ki Shaan e Paak Me Likhe Hain. Shayad Isse Pehle Ye Ashaar Aap Ne Kabhi Nahi Padhe Honge.

*हैदरीयम कलन्दरम मस्तम,*
*में हैदरी हूं, में कलंदर हूं, में मस्त हूं (अलीع के इश्क में)
*बन्दा ऐ मुर्तुज़ा अलीع हस्तम,*
*में मौला अलीع मुर्तुजा का अदना गुलाम हूं
*हादी ए सालिकान ए इरफानम,*
*मैं इरफान की गली में रहने वालो का हादी हूं
*कलंदरी ऐ बस्तम, बा कमरे बन्दम*
*कलंदरी मैंने अपनी कमर के साथ बांधी हुई है
*चहारदा(१४)ع तन सफि ए इश्यानम*
*चौदह(१४)ع के अलावा (14 मासूमीनع) गुनाहगारों की सफाअत करने वाला कोई नहीं
*मोहर ए शाहع अस्त दिने इमानम,*
*मेरे बादशाह (हुसैनع) ने मोहर लगाई है, यही दिन है यही ईमान है
*रोज़ ओ सब मन हमी ख्वानम,*
*मैं दिन और रात बस एक ही बात करता हूं
*बगैर चहारदा(१४)ع नमी दानम,*
*मैं चौदह(14 मासूमीनع) के अलावा किसी को जानता ही नहीं
*मन बगैर अज़ अलीع ना दानिस्तम,*
*मैं अलीع के बगैर किसी को जानता ही नहीं
*अली अल्लाह अजल अवल गुफ्तम*
*मैं पहले दिन से एक ही बात जानता हूं, या अल्लाहج है, या अलीع है
*पेशवा ए तमाम रिन्दानम*
*मैं तमाम रिंदो (कलंदरो) का पेशवा हूं
*सग ए कुवे शेरे यज़दानम।*
*में शेरे यज़दान (मौला अलीع) की गली का कुत्ता हूं।
*– आशार ए सरकार सैयदना सखी लाल शाहबाज़ कलंदर ए किबरिया र.अ.*
हर दौर में कोशिश तो बहोत की गई लेकिन,
कतरे के मुकद्दर में समंदर नहीं आया,
हैदरع को समझ पाएगी, कैसे भला ये दुनिया?
दुनिया के समझ में तो कलंदरر नही आया!
बोलो बोलो सखी लजपाल कलंदर मस्त….अलीع…अलीع…अलीع….हैदरع
हजरत सैयदना शाह हुसैन (सखी लाल शाहबाज कलंदर) जाफरी अल सब्जवारी हुसैनी रेहमतुल्लाहअलैह का शजरा ए नसब:-
हजरत सैयदना मोहम्मद मुस्तफा स.अ.व.
हजरत सैयदना इमाम मौला अली ए मुर्तजा अ.स.
हजरत सैयदना इमाम हुसैन अल मजलूम अ.स.
हजरत सैयदना इमाम अली जैनुल आबेदीन अ.स.
हजरत सैयदना इमाम मोहम्मद बाकिर अ.स.
हजरत सैयदना इमाम जाफर सादिक अ.स.
हजरत सैयदना मोहम्मद इस्माइल र.अ.
हजरत सैयदना मोहम्मद अरिजी र.अ.
हजरत सैयदना इस्माइल सानी र.अ.
हजरत सैयदना मोहम्मद मन्सूर र.अ.
हजरत सैयदना अली गालिब र.अ.
हजरत सैयदना अब्दुल मजीद र.अ.
हजरत सैयदना मुन्तखिबल्लाह सब्जवारी र.अ.
हजरत सैयदना मोहम्मद मेहदी र.अ.
हजरत सैयदना हादी र.अ.
हजरत सैयदना अहमद र.अ.
हजरत सैयदना मेहमूद र.अ.
हजरत सैयदना नूरुद्दीन र.अ.
हजरत सैयदना शमसुद्दीन र.अ.
हजरत सैयदना इब्राहिम कबिरुद्दीन र.अ.
हजरत सैयदना शाह हुसैन अलमारूफ सखी लाल शाहबाज कलंदर जाफरी अल सब्जवारी हुसैनी रेहमतुल्लाहअलैह

بعد از جام خوردم مستم
کمر اندر قلندری بستم
از دل پاک حیدری ہستم
.
Jaam Mehr Ali Z Dar Dastam
Bad Az Jaam Khurdam Mastam
Kamar Andar Qalandar Bastam
Az Dil Paak Haidriyam Mastam
.
میں نے حضرت علی کی محبت کا جام پیا
پینے کے بعد میں مست ہو گیا
میں نے قلندری کے میدان میں قدم رکھا
دل و جان سے میں حیدری ہو گیا
.
Maine Hazrat Ali Ki Muhabat Ka Jaam Piya Pine Ke Baad Main Mast Hogaya
Maine Qalandari Ke Maidan Mein Kadam Rakha Dil O Jaan Se Main Haidri Hogaya.
حیدریم قلندرم مستم
بندہ مرتضٰی علی ہستم
~ Syed Mohammad Usman Marwandi (رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ)
_
18 Shaban Urs Hazrat Usman Shah Marwandi Sakhi Lal Shahbaz Qalandar (رضی اللہ تعالی عنہ


Manam Usman Marwandi Banda Dar-Gahish
Badzama Hasht Haal Ma Aagahas
Bu-Salsh Bud Sada Khuwaish
.
نہ رسد کئے حشمت و جاہش
منم عثمان مروندی بندہ درگاہش
برزماں ہست حال ما آگاہش
بوصالش بود سدا خواہش
.
Hazrat Ali Ke Martaba Ko Koi Nahi Paocha Main Usman Marwandi Aap Ki Bargha Ka Gulam Hu,
Aap Har Zamane Mein Mere Haal Se Waakif Rahe Hai Aap Se Mulakaat Ki Hamesha Khuwaish Rahi Hai.
.
حضرت علی کے مرتبہ کو کوئی نہیں پہنچا
میں عثمان مروندی آپ کی بارگاہ کا غلام ہوں
آپ ہر زمانے میں میرے حال سے واقف رہے ہیں
آپ سے ملاقات کی ہمیشہ خواہش رہی ہے
حیدریم قلندرم مستم
بندہ مرتضٰی علی ہستم
~ Syed Mohammad Usman Marwandi (رحمۃ اللہ تعالٰی علیہ)

Hazrat Sayyed Uṡmaan Marwandi rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
La’al Shaahbaaz Qalandar.
****************
Aap ki wilaadat Sha’abaan 572 Hijri (1177 A.D.) me Marwand (Iran) me hui.
Aap Sayyed Husain Shaah ke naam se bhi mash’hoor hain.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Ibrāheem Kabeer-ud-deen Mujab ibne Sayyed Shams-ud-deen rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Husaini saadaat hai aur Hazrat Imaam Ja’afar al-Saadiq radiy-Allāhu anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Baghdad se Mash’had (Iran) aur phir Marwand aaye the.
****************
Aap 7 saal ki umr me Haafiz e Qur’an hue.
Aap Marwand se Baghdad aaye.
Phir safar karte hue Makran hote hue Sindh aaye.
661 Hijri (1263 A.D.) me Aap Multan pahunche.
Phir Karanchi, Sukher aur Uch hote hue Sehwan aaye.
666 Hijri (1267 A.D.) me Aap Sehwan aaye.
Aap ne khaanqaah banaai aur Madrasa Fuqaha-e-Islaam me talba ko ta’aleem dena shuru kiya.
Aap Arabi, Faarsi, Turki, Pashto, Sindhi aur Sanskrit ke maahir the.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui kitaaben :
(1) Mizaan-e-Sarf,
(2) Kism-e-Doyum,
(3) Aqd,
(4) Zubdah.
Aap ne bahot saari Nazmen bhi likhi hain.
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek baar Aap sehra me ibaadat me mashgool the. Aap ne apne qareeb 2 lakdiya ek dusre se thoda thoda door zameen me lagai thi.
Ek shakhs waha se guzar raha tha. Us ne khwaab me dekha tha ki ek din woh baadshaah ban gaya hai. Usi soch me woh un lakadiyo ke bich me se guzar gaya. Jaise hi wo waha se guzra us ne dekha ki woh ek bade darwaaze me se guzarkar ek shaher me aa gaya hai aur logo ki bheed jama hai. Us ne kisi se puchh to pata chala ke waha ke baadshah ka inteqaal ho gaya tha aur us ka koi waaris nahi tha. Is liye naya baadshah tay karne ke liye sab log jama hue the. Huma naami parinde ko udaaya jaayega aur wo jis ke sar par baithega wo naya baadshaah hoga.
Kuchh der me huma us shakhs ke sar par aakar baith gaya. Logo ne use apna baadshaah banaaya. Aur 7 saal tak us ne waha hukoomat ki.
Ek baar wo apne mulk me sair karta hua usi darwaaze par pahuncha jaha se woh andar aaya tha. Wo hus me baahar nikla to dekha ki un do lakdiyo ke bich me se waapas baahar aaya hai aur Hazrat La’al Shaahbaaz Qalandar wahi par ibaadat kar rahe hain.
(2) Ek baar Sehwan ke haakim ne Hazrat La’al Shaahbaaz Qalandar ka imtihaan lene ke liye Aap ko khaane ki daawat di. Us ne apne baawarchi ko ek billi ko maarkar us ko pakakar aap ko khaane me dene ke liye kaha. Us baawarchi ne aisa hi kiya. Jab aap ke saamne khaana ka bartan rakha gaya to Aap ne foran farmaaya “Qum bi iznillāh.” Jab aap ne ye kaha to foran us me se woh billi zinda ho gai aur baaqi tamaam bartan me rakha hua khaana khaakar baahar chali gai. Jab us hakim ko is baat ka pata chali to woh bahot sharminda hua aur Aap ki ma’afi maangi.
****************
Hazrat Khwaja Baha-ud-deen Zakariya Multani Suhrwardi, Hazrat Makhdoom Sayyed Jalaal-ud-deen Surkh-posh Bukhari aur Hazrat Khwaja Baaba Fareed-ud-deen Ganj-shakar Chishti ke saath Aap ki bahot gehri dosti thi.
****************
Aap Hazrat Abu Is’hāq Sayyed Muhammad Ibrahim Qadri rahmatullāhi alaihi ke mureed hain aur Hazrat Shaikh Baha-ud-deen Zakariya Multani rahmatullāhi alaihi ke khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Sayyed Ali Sarmast Zualqi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Sikandar Bodla Bahaar rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Mahadi Raza Shaah Sabzwari rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 18 Sha’abaan 672 Hijri (February 1274 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Sehwan (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Uṡmaan Marwandi La’al Shaahbaaz Qalandar rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

18th Shaban Urs Mubarak Hazrat Usman Marwandi Lal Shahbaz Qalandar RadiAllahu Anhu.
Hazrat Lal Shahbaz Qalandar Rehmatullah alaih ke bachpan ka naam Hazrat Sayyed Mohammad Usman Marwandi Rehmatullah alaih tha. Apke Walid ka nam Sayyed Ibrahim kabeeruddin Rehmatullah alaih tha. Apke walid ne apki paidaish se pehle Ek dafa #Hazrat Imam Hussain alaihissalam ko basharat mein dekha ke hazrat imam Hussain farmate hai ke ,”Aapko darbar e risalat se bohot jald ek “Baaz” ata kiya jayga”….. Isi wajah se apka laqab “Shahbaaz” padh gaya.
Ap Hazrat lal Shahbaz qalandar aksar “laal” rang ka libas isilie pehna karte thay …apko is rang se mohabbat thi kyuki Hazrat Imam Hussain Radi Allahu anhu ne laal libas pehna tha.. Isliye apka laqab “Laal” naam se bhi mash’hoor hua.
*Maula Ali kaynat Alaihis salam ne Basharat me Naam bataya*
Jab Hazrat Lal Shahbaz qalandar ke walid hazrat Ibrahim kabeeruddin R.A. ki shadi ko ek muddat guzar gayi to unko khwab me Hazrat Maula Ali kaynat ka deedar hua to apke walid ne Maula Ali se farmaya, “Ya ameerul momineen! Aap mere liye Allah ta’ala se dua kariye ke mujhe ek nek Saleh beta ata ho jaye”.is bat Par Hazrat Ali ne jawab diya ke, “Beshak khuda tumko ek nek saleh beta ata karega lekin meri ek baat ka khayal rakhna ke jab bete ki wiladat ho to uska nam Muhammad Usman Rakhna aur jab iski umar 384 din ki ho jaye to isko lekar Madina munawwara mein jakar Hazri dena aur Rasool Allah ki mazar Par salam karne ke bad Hazrat Usman Ghani Radi allahu anhu ki mazar Par hazri dena aur waha salam karna.” …phir aesa hi hua ke jab Hazrat lal Shahbaaz qalandar ki wiladat hui to unke walid Hazrat lal Shahbaz qalandar RA ko lekar Madina gaye aur rasool ki mazar Par haziri dene k baad jannatul baqi me Hazrat Usman Ghani Radi allahu anhu ki mazar Par hazir hue aur salam arz kiya aur Hazrat usman radi alalhu anhu ki nisbat mein apka naam Hazrat Mohammad usman marwandi rakha gaya.
*Hazrat Rabia Basri Rehmatullah alaiha ki Basharat*
Jab Hazrat mohammad Usman marwandi urf Lal Shahbaz qalandar apni maa ke pet me thay to aapki maa ko Khwab me Hazrat Rabia Basri qalandari Rehmatullah Alaiha ka deedar hua ke Hazrat Rabiya basri farmati hai, “Ae beti! Mai tumhe ye basharat sunane ayi Hu ke tumhara paida Hone wala yeh beta Allah ka mehboob aur uski makhlooq ka barguzeeda aur shohrat yaafta Qalandar hoga. Allah Ta’ala iske waseele se bohot se gunahgaar bando ko tauba ki taufeeq ata farmayga aur jab yeh paida ho to iske dono kaano me Kalma tayyaba buland awaaz se keh dena aur mera salam arz kar dena ” …chunache jab Hazrat Lal Shah baz qalandar ki wiladat hui to aap ki maa ne rabia basri ke hukm ke mutabiq aesa hi kiya.
Karamat:-
Ek martaba Hazrat Lal Shahbaz qalandar rehmatullah alaih Roti paka rahe thay ke itni der mein ek kaazi udhar se guzra aur kaha ke Yeh ramzan ka mahina hai aur tum roti paka rahe ho? Yeh bat sunkar hazrat lal Shahbaz qalandar ne roti ko aag me daba dia aur apna chehra ek chadar se dhak kar muraqbe mein baith gaye. jab Ramzan ka Sara mahina guzar gaya aur Eid ka din aya to usi kaazi ka phir se apki taraf se guzar hua aur isne jab apko ibadat me mashgool dekha to kehne lage, “ya hazrat! Ramzan Mubarak ka mahina to ab khatam ho gaya.. Ap ne ekdum se apna sar uthaya aur farmaya ,”phir to ab meri roti bhi pak gayi hogi” itna kehte hi aapne aag me se roti nikali to woh usi halat mein thi.
(Seerat e Lal Shahbaz Qalandar)