9 Ramzan ul Mubarak

400wa URS MUBARAK
Makhdoom ul Aarifeen Asharf ul Aalimeen Makhdoom ul Auliya Hazrat Syed Azeez ud Deen Hussaini Shattari Almaroof Makhdoom Shah Peer Sahab Meeruti (Rehmatullah Alaih)

Aapki Wiladat 1 Ramzan Ko Hui, Aapne Wiladat Ke Pehle Hi Din Roza Rakha, Aap Madarzad Hafiz e Quran Hain, Aapka Wisaal 9 Ramzan ul Mubarak 1042 Hijri Mutabik 20 March 1633 Esvi Baroz Itvaar Hua, Aap Shaykh ul Mashaikh Hazrat Khawaja Allah Baksh Shattari (Rehmatullah Alaih) Ke Mureed wa Khalifa Hain, Aap Shattari Silsile Ke Buzurgh Hain, Aapka Mazar Mubarak Meerut, Uttar Pradesh, India Me Marjai Khaliak Hain…
Makhdoom ul Auliya Hazrat Syed Azeez ud Deen Makhdoom Shah Peer Sahab Shattari Meeruti (Rehmatullah Alaih) Ki Bargah Wo Aazeem Bargah Hai Jab Imaam e Silsilai Rajshahi Hazrat Qutub e Aalam Fardwakt Miya Rajshah Sahab Qadri (Rehmatullah Alaih) Ke Mureed wa Khalifa e Khas Sarkar e Sarawa Hazrat Hafiz Syed Muhammad Ibrahim Shah Sahab Qadri Rajshahi (Rehmatullah Alaih) Is Bargah Me Haazri Dene Ke Liye Aate To Dast Basta Is Adab Ke Sath Salam Arz Karte The:- Assalamualaikum Ya Ahle Tariqat Assalamualaikum Ya Ahle Maarfat Assalamualaikum Ya Ahle Haqiqat wa Rehmatullahi Ta’ala Waba Raka Tuhu, Sarkar e Sarawa Huzoor Hafiz Syed Ibrahim Shah Sahab Qadri Rajshahi (Rehmatullah Alaih) Ke Alawa Bhi Bhut Se Rajshahi Silsile Ke Auliya e Ikram Ne Sarkar Makhdoom Shah Peer Sahab (Rehmatullah Alaih) Ki Bargah Me Hazri Di Hain Jinme Se Kuch Ke Naam Ye Hain 👇
1. Jame Maqool wa Manqool Hazrat Allama Molana Abdur Rehman Sahab Qadri Rajshahi Almaroof Bade Molvi Sahab (Rehmatullah Alaih)
2. Qutub e Dora Hazrat Molana Abdur Raheem Sahab Qadri Rajshahi Almaroof Chote Molvi Sahab (Rehmatullah Alaih)
3. Qutub e Waqt Hazrat Hafiz Zahoor ul Hasan Sahab Qadri Rajshahi Almaroof Kallan Miya (Rehmatullah Alaih)
4. Sufi e Ba’safa Hazrat Syed Sufi Muhammad Ismaile Shah Sahab Qadri Rajshahi (Rehmatullah Alaih)
5. Fakhar ul Auliya Hazrat Syed Muhammad Ishaq Sahab Qadri Rajshahi (Rehmatullah Alaih)
👥 Share this Msg Your other Group and Other Contacts