
Sabse pehle Namaz Ada Karne Waale.
.
“Hazrat Ismail bin Iyaas bin Afeef Kindi RadiAllahu Anhu apne walid aur wo apne walid se riwayat karte hain ke mai ek tajeer tha, mai Haj ki garaz se Makka aaya to Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib RadiAllahu Anhuma se milne gaya taake Aapse kuch maal-e-tijarat kharid lun aur Aap RadiAllahu Anhu bhi ek tajeer the. Ba-Khuda mai Aap RadiAllahu Anhu ke paas Mina me tha ke achanak ek Aadmi Apne kareebi khaime se nikla Usne suraj ki taraf dekha, pas jab Usne suraj ko dhalte hue dekha to Khade hokar Namaz ada Karne Laga.
.
Raawi bayan karte hain: Fir usi Khaime se jis se Wo Aadmi nikla tha ek Aurat nikli aur Uske piche Namaz padhne keliye Khadi Hogayin fir Usi Khaime me se ek Ladka jo kareeb al buloog tha nikla aur Us Shakhs ke saath khade hokar Namaz padhne laga. Raawi bayan karte hain ke maine Hazrat Abbas RadiAllahu Anhu se kaha: Aaye Abbas! Ye Kaun hai? To Unhone kaha: Mera Bhatija Muhammad Ibne Abdullah Ibne Abdul Muttalib hai.
.
Maine pucha: Ye Aurat Kaun hai?
Unhone kaha: Ye Unki Biwi Khadija Binte Khuwailid (سلام الله علیها) hai.
.
Maine pucha: Ye Naujawan Kaun hai? To Unhone kaha: Ye Unke Chacha ka
Beta Ali Ibne Abi Talib (عليه السلام) hai.
.
Raawi kehte hain: fir maine pucha ke Ye kya kaam kar rahe hain? To Unhone kaha Ye Namaz padh rahe hain. Unka khayal hai ke Ye Nabi hain haalanke Unki itteba siwaye Unki Biwi aur Chachazaad Us Naujawan ke koi nahi karta aur Wo ye bhi gumaan karte hain ke ankareeb kaiser wa kisra ke khazaane Unke liye khol diye jaenge.
.
Raawi bayan karte han: Afeef jo ke Ash’as bin Kais ke bete hain wo kehte hain ke wo iske baad Islam laaye, pas uska Islam laana acha hai magar kaash Allah Tabarak wa Ta’ala us din mujhe Islam ki Daulat ata farma deta to mai Hazrat Ali Alaihissalam ke saath teesra Islam kubool karne waala shakhs hojata.”
.
Reference : -Imam Ahmed, Musanad, 1/209, #1787
Ibne Abdul Barr, al Isteyab, 3/1096
Maqdisi, Ahadees al Mukhtarah 8/388, #6479
.
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadi Nin Nabiyyi wa Azwajihi Ummahtul Mu’mineen wa Zurriyatihi wa Ahle Baytihi kama Sallaita Ala Ibrahima Innaka Hamidum Majeed.