




यौमे फ़तेह मक्का मुबारक़ हो!
20 रमज़ान सन 8 हिजरी० को रसूलअल्लाह ﷺ ने मक्का को फ़तेह कर लिया और ख़ाने काबा को बुतों से पाक कर दिया जब (इसी दिन) इमाम उल अंबिया ﷺ काला अमामा शरीफ़ पहन कर मक्का शरीफ़ में दाखिल हुए थे! 10 हज़ार का लश्कर ए इस्लाम हुज़ूर ﷺ के साथ मक्का शरीफ़ में दाख़िल हुआ और ख़ाने काबा से सारे बुत निकाल कर फेंक दिये गये अल्लाह तआला का घर अल्लाह के हबीब ﷺ के वसीले से साफ़ सुथरा हुआ..
وَ قُلْ جَآءَ الْحَقُّ وَ زَهَقَ الْبَاطِلُؕ-اِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوْقًا
और बेशक फरमाओ हक आया और बातिल मिट गया, बेशक बातिल को मिटना ही था..
(अल क़ुरान- सूरह इस्राइल आयत 81)
20th Ramadan Kareem 8 Hijri Fatah E Makkah Mukaramah ☝ (THE CONQUEST OF MAKKAH)
Imam Ali (KaramAllahu Wajhahu) said: “I accompanied the Messenger of Allah ﷺ until we came to the Kaaba. The Prophet of Allah ﷺ got down and sat for me, saying, ‘Ride on my shoulders!’ The messenger of Allah ﷺ got up with me (on his shoulders). I imagined that if I wanted, I would get to the horizon of the heavens.
I got on the Kaaba, and there was a statute (idol) of brass or copper. I tried with it to the right and left, from before and behind to remove it. When I was able to do, the Prophet of Allah ﷺ asked me to throw it down, and I did. I broke it as pots break into pieces. Then, I got down.”



#यौमे_फ़तेह_मक्का मुबारक़ हो!
20 रमज़ान सन 8 हिजरी० को रसूलअल्लाह ﷺ ने मक्का को फ़तेह किया ⚔
इमाम उल अंबिया ﷺ काला अमामा शरीफ़ पहन कर मक्का शरीफ़ में दाखिल हुए थे! 10 हज़ार का लश्कर ए इस्लाम हुज़ूर ﷺ के साथ मक्का शरीफ़ में दाख़िल हुआ और ख़ाने काबा से सारे बुत निकाल कर मक्का शरीफ़ को बुतों से पाक कर दिया_
♥___صلی الله عليه وسلم____




20 Ramzan ul Mubarak
Yaume Fateh Makkah
6 Ramzan 8 Hijri Mutabik December 629 Esvi Ko Shehansha e Qull Aalam Huzoor Ahmad e Mujtuba Muhammad Mustafa (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) 10 Hazaar Sahaba e Ikram Ke Sath Madina Paak Se Rawana Hue, 20 Ramzan ul Mubarak 8 Hijri Mutabik 11 January 630 Esvi Ko Huzoor (Alaihis Salam) Ne Lashkar Ke 4 Giroh Banakar Makkah Sharif Ki Taraf Kooch Ki, Pehle Giroh Hazrat Abu Ubaida Aamir Ibn Jarrah (Razi Allahu Tala Anhu) Ki Sardari Me Azakhir Ki Jaanib Se Aage Badha Jisme Huzoor (Alaihis Salam) Bhi Shamil The, Dusra Giroh Hazrat Zubair Ibn Awwam (Razi Allahu Tala Anhu) Ki Sardari Me Khuda Pahaad Ki Janib Se Aage Badha, Teesra Giroh Mola Imaam Ali Ibn Abu Talib (Alaihis Salam) Ki Sardari Me Kudai Ki Janib Se Aage Badha Aur Chota Giroh Hazrat Khalid Bin Waleed Razi Allahu Tala Anhu Ki Sardari Me Khandama Aur Lait Ki Jaanib Se Aage Badha, 3 Giroh Baghair Koi Muqaable Ke Makkah Ki Taraf Aage Badhe Sirf Hazrat Khalid Bin Waleed Ke Giroh Par Ikrama Bin Abu Jahal, Safwaan Bin Ummayya, Suhail Bin Amr Aur Zishaan Bin Qais Ki Sardari Me Quresh Ne Teero Se Hamla Kiya, Jisme 2 Sahaba (Hazrat Hubaish Ibn Ashar Aur Hazrat Qurb Ibn Jaabir Al Fahri) Shaheed Hue Aur 12 Kuffar Mare Gaye, Is Tarha Allah Kareem Ke Fazl Se Huzoor (Alaihis Salam) Ne Makkah Sharif Par Fateh Hasil Ki, Huzoor (Alaihis Salam) Ne Maqaam e Hajoon Par Apna Jhanda Nasab Karne Ke Liye Farmaya, Sabse Pehle Qabeele e Giraf Apne Parcham Ke Sath Nikle Phir Zuhaina, Phir Saad Bin Huzaim, Phir Banu Sulaim Apne Apne Parcham Lehraate Hue Aur Takbeer Ke Nare Lagate Hue Guzre, Iske Bad Huzoor Alaihis Salam) Faatihana Haisiyat Se Apni Ootni Qaswa Par Sawar Makkah Me Daakhil Hue, Aapne Siyah (Kala) Rang Ka Amama Sharif Baandha Hua Tha Aap Surah Fateha Padh Rahe The Aur Allah Kareem Ka Shukur Ada Kar Rahe The, Aapke Charo Taraf Josh Se Bhara Hua Sahaba e Ikram Ka Lashkar Tha Is Shaan O Shauqat Ko Dekhar Abu Sufiyan Ne Hazrat Abbas Razi Allahu Tala Anhu) Se Kaha:- Aey Abbas! Tumhara Bhatija To Badshah Ho Gaya Hain, Hazrat Abbas Ne Jawab Diya Ye Badshahat Nahi Balqe Nabuwat Hain, Makkah Ke Andar Dakhil Hone Ke Bad Huzoor (Alaihis Salam) Hazrat Umme Haani (Mola Ali Alaihis Salam Ki Behan) Ke Maakan Par Tashrif Le Gaye Jo Kabah Sharif Ke Qareeb The Aur Waha Ghusl Farmaya Phir 8 Rakat Namaz e Chasht Padhi, Iske Bad Huzoor (Alaihis Salam) Kabah Sharif Ke Qareeb Pouche Kabah Sharif Ka Hajre Aswad Ko Bosa Diya Aur Tawaaf Shuru Kiya Phele Chakkar Ke Liye Aage Badhe Tab Kabah Sharif Ke Darwaze Par Lage Hue 3 Bade But :- Hubal, Isaf Aur Nailah Ko Chhadi Se Gira Diye, Tawaaf Mukammal Karne Ke Baad Hazrat Bilal Ko Bhejkar Hazrat Usman Bin Talha Ko Bulwaya Aur Kabah Sharif Ka Darwaza Kholne Ke Liye Farmaya, Phir Huzoor (Alaihis Salam) Kabah Sharif Ke Darwaze Ke Paas Khade Hokar Khutba Padha Aur Quran Sharif Ki Surah Al-Hujurat Ki Ayat No 13 Tilawat Farmayi, Phir Huzoor (Alaihis Salam) Ne Farmaya:- “Aey Ahle Quresh! Tum Log Mujh Se Kis Baat Ki Ummed Rakhte Ho ? Quresh Ne Kaha Hum Aapse Bhalai Aur Amn Ki Ummeed Rakhte Hain, Huzoor Alaihis Salam) Ne Farmaya:- Main Tum Logo Se Yehi Kahunga Jo Hazrat Yousuf (Alaihis Salam) Ne Apne Bhaiyo Se Kaha Tha Ke :- Laa Tasriba Alaykum Layaum, Aaj Ke Din Tumse Koi Malamat Ya Mutaalba Nahi Kiya Jayega Tum Sab Aazad Ho, Tumne Apne Kiye Ka Anjaam Dekh Liya Aur Mene Apne Rab Ki Meherbaniyo Ka Huzoom Dekha, Jisne Apne Hathiyaar Chod Diye Uske Liye Bhi Aamaan Hain, Jo Apne Ghar Me Chala Gaya Uske Liye Bhi Aamaan Hain, Jo Kabah Me Daakhil Ho Gaya Uske Liye Bhi Aamaan Hain, Jo Abu Sufiyan Ke Ghar Me Dakhil Ho Gaya Uske Liye Bhi Aamaan Hain, Jabse Allah Ta’ala Ne Aasman Aur Zameen Banaye Hain Tab Se Makkah Ko Haram Banaya Hai Aur Wo Qayamat Tak Haram Rahega, Kyuki Use Allah Ne Hurmat Bakhsi Hain, Isme Fasaad Ya Jung Karna Haraam Hain, Na Mere Baad Kisi Ke Liye Aur Na Mere Liye Siwa e Yeh Kuch Waqt Ke Liye, Isme Shikaar Karna Mana Hain, Aur Darakht Kaatna Bhi Mana Hai Aur Kisi Podhe Ya Ghaas Ko Ukhedna Bhi Mana Hain, Huzoor (Alaihis Salam) Ne Mola Ali (Alaihis Salam) Ko Apne Kandha e Mubarak Par Sawaar Karke Kabah Ki Chat Pe Jo But Tha Use Girane Ka Hukum Diya, Uske Bad Huzoor (Alaihis Salam) Ne Kabah Sharif Me Mojood Tamaam Buto Ko Giraaye Aur Door Karwaye Phir Aapne Ashaba Ko Kabah Ki Deewaro Par Mojood Farishto Ki Aur Dusri Tasweere Mitane Ka Hukum Farmaya, Phir Pure Kabah Ko Aabe Zamzam Se Dhokar Paak Kiya Iske Bad Aapne Baitullah Sharif Ke Tamaam Gosho Me Takbeer Padhi, Phir 2 Rakat Namaz Bhi Ada Farmayi Aur Kuch Der Tak Dua Masghool Rahe, Is Tarha Kabah Sharif Ko Hamesha Ke Liye Sirf Ak Allah Azzavajal Ki Ibadat Ke Liye Paak Kar Diya, Phir Aapne Kabah Me Mojood Logo Ke Samne Quran Sharif Surah Bani Israeel Ki Ayat No 81 Tilawat Farmayi:- Tarjuma:- “Aur Farma Dijiye : Haq Aa Gaya Aur Batil Bhaag Gaya, Beshak Baatil Nabood Hi Ho Jata Hain” Aur Phir Farmaya Allah Ke Siwa Koi Maabood Nahi, Uska Koi Shareek Nahi, Phir Hazrat Bilal Al Habshi (Razi Allahu Tala Anhu) Ne Huzoor Alaihis Salam) Ke Hukum Par Kabah Sharif Ki Chat Par Chadhkar Aazan Di Aur Tamaam Musalmano Ne Namaz Ada Ki, Uske Bad Huzoor (Alaihis Salam) Ne Hazrat Umar Farooq (Razi Allahu Tala Anhu) Ke Sath Kohe Safa Par Khade Hokar Baith Lena Shuru Kiya, Isme Bhut Badi Taadaad Me Ahle Makkah Islaam Me Dakhil Hue, Huzoor (Alaihis Salam) 15 Din Makkah Sharif Me Ruke Aur Logo Ko Islaam Ki Taleem Dete Rahe Aur Phir Is Aazeem Fateh Ke Bad Madina Paak Wapas Tashrif Laye…