Design a site like this with WordPress.com
Get started

21 Ramadan Youm e Shahdat Imam Ali AlaihisSalam

21 Ramzan ul Mubarak
Yaume Shahadat
Wasi e Rasool Nafs e Rasool Biradar e Rasool Janasheen e Rasool Damad e Rasool Haider e Karrar Sher e Khuda Sher e Yazda Maulud e Kabah Imam ul Aulia Imam ul Muttaqin Syed ul Asfiya Taj ul Aarifeen Ameer ul Momineen Khalifat ul Muslimeen Shah e Zaman Khaibar Shikan Abu Turab Mola e Kaynat Huzoor Syedna Mola Imaam Ali Murtuza Ibne Abu Talib (Alaihi Salam)
Aapki Wiladat 13 Rajab ul Marjab Hijrat Se 23 Saal Pehle 23 October 600 Esvi Baroz Juma Kabah Sharif Ke Andar Hui, Aapki Shahadat 21 Ramzan 40 Hijri Mutabik 27 January 661 Esvi Baroz Peer Hui, Aap Shehansha e Qull Aalam Huzoor Ahmad Mujtuba Muhammad Mustufa (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ke Bhai Damad wa Khalifa Hai, Aap Syyeda e Kaynat Syyeda Fatima Zehra (Salam un Aleha) Ke Shohar Aur Hazrat Syedna Mola Imaam Hasan wa Hazrat Syedna Mola Imaam Hussain (Alaihimus Salam) Ke Walid e Majid The, Huzoor (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Aapki Shan Me Farmate Hain:- Ali Ka Chehra Dekhna Ibadat Hain, Ali Ka Zikr Karna Ibadat Hain, Ali Ko Mujhse Wohi Nisbat Hai Jo Musa Ko Haroon Se Thi Siwai Iske Ke Mere Bad Koi Nabi Nahi, Junge Khairbar Ke Moqa Par Farmaya:- Kal Alam Usko Dunga Jo Allah Uske Rasool Ka Mehboob Tareen Hoga, Huzoor (Alaihis Salam) Ne Farmaya:- Mere Bad Jo Cheeze Bais e Ikhtalaf Hogi Unme Ali Ki Adalat Sabse Behtareen Hain, Ali Tumhare Darmiyan Behtareen Hakim Hain, Me Sardar Farzandan e Adam Hu, Ali Sarwar e Arab Hain, Yaume Khandak Zarbat e Ali Saqalain Ki Ibadat Se Afzal Hain, Ali Ke Ghar Ke Alawa Masjid e Nabawi Ke Andar Khulne Wale Tamaam Darwaze Band Kar Diye Jaye, Ali Mujh Se Hain Aur Me Ali Se Hu, Ali Haq Ke Sath Hain Aur Haq Ali Ke Sath Hain, Jisne Ali Ko Sataya Usne Mujhe Sataya, Jisne Ali Se Dushmani Ki Usne Mujh Se Dushmani Ki, Ali Ki Dosti Buraiyo Ko Yu Khati Hai Jese Aag Lakriyo Ko, Me Ilm Ka Shehar Hu Aur Ali Uska Darwaza Hain, Jisko Is Shehar Me Aana Ho Wo Darwaze Se Aaye, Hazrat Adam (Alaihis Salam) Ki Takhleeq Se 14 Hazaar Sal Pehle Me Aur Ali Allah Ki Bargah Me Ak Noor The, Ali Ko Meri Mitti Se Banaya Gaya, Me Aur Ali Ak Hi Nasab Se Hain, Me Aur Ali Ak Hi Darakht Se Paida Hue Hain Yani (Ak Hi Shajra Ak Hi Nasab), Ali Ka Ghos Mera Gosh Hai Aur Ali Ka Khoon Mera Khoon Hain, Jiska Me Maula Hu Uska Ali Maula Hain, Ali Tum Dono Jahan Me Mere Bhai Ho, Ali Mere Liye Aesa Hai Jaise Mera Sar Mere Jism Ke Liye, Ay Allah! Jo Ali Se Muhabbat Kare Tu Usse Muhabbat Kar Jo Isse Bugz Rakhe Tu Usse Bugz Rakh, Lashkar Rawana Karte Waqt Farmaya:- Khudaya Mujhe Us Waqt Tak Mout Na Dena Jab Tak Ali Ko Dubara Dekh Na Lu, Mera Parwardigar Mujhe Raat Ko Aasman Le Gaya Aur Ali Ke Bare Me Mujhe 3 Cheezo Ki Wahi Ki:- Ali Parhezgaro Ka Peshwa, Momino Ka Wali Aur Noorani Chehro Ke Rehbar Hain, Aap Panjetan Pak, Khulfa e Rashideen, Ashra e Mubashara Me Shamil Hain, Aap Aaimma e Ahle Baith Ke Pehle Imaam Hain, Aap Faatih e Wilayat Aur Wali e Awwal Hai Yani Ummate Mustufa Me Auliya Allah Ke Silsile Ki Shuruat Aapse Hui, Aapka Mazar Mubarak Najaf ul Ashraf, Iraq Me Marjai Khaliak Hain…
*हम तलबगारे सख़ावत या अली मुश्किल कुशा*
*तुम इनायत ही इनायत या अली मुश्किल कुशा*
*आपको निस्बत रसूल अल्लाह ﷺ̳ से है और मैं ❤️*
*आप से रखता हूँ निस्बत या अली मुश्किल कुशा ❤️*
21 रमज़ान योमे शहादत अमीरुल मोमिनीन मौला इमाम अली इब्ने अबितालिब
नबी ए करीमﷺ ने फरमाया
जो कोई अल्लाह और मेरा कुर्ब चाहता है
उसे चाहिए के अली के करीब हो जाये
Reference
Dhakhair UL Uqba, Tabari Pg 92
#21_Ramazan #Youm_e_Shahadat 
_
Is Pur’dard Mauqe Par Imam e Zamanaعج Aur Tamaam Saadat-e-Kiraam-o-Muhibban e Ahlebait۴ ko Maula-e-Qayenaat Imam Ali Ibne Abi Taalib۴ Ki Shahadat Ka Pursa Pesh Karta Hu 
——————————————-
Ya Ali۴ Salam Alaika
Ya Wali Salam Alaika
Ya Wasi Salam Alaika
Salawatullah Alaika
_
Aapka Aali Gharana,
Bakshisho Ka Aastana,
Aapki Fitrat Me Daakhil;
Aasiyoñ Ko Bakhswana..
_
Zeenat e Tatbeer Aap Ho,
Markaz e Tatheer Aap Ho,
Bhaagata Hai Kufr Jisse;
Haq Ki Wo Shamsheer Aap Ho..
_
Noor Ki Tanveer Waale,
Aal Ki Tauqeer Waale,
Hum Gulaam e Murtaza۴ Hai,
Shabbar۴-o-Shabbir۴ Waale..
_
Hai Arab Ka Ayn Aap Se,
Barzakh o Bahrain Aap Se,
Luqlu’u Marjaan-e-Jannat;
Pursiya Hasnain۴ Aap Se..
_
Khadim e Aal e Aba Hai,
Daman e Isyañ Bhara Hai,
Baksh De Ham Sabko Maula;
Panjatan۴ Ka Waasta hai..
_
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد

One of the best narrations ever, and it is sound/authentic (Sahih):

Sayyiduna ‘Ali ibn Abi Talib, Alayhis Salam, said concerning his spiritual companionship [Suhba] with the Prophet Muhammad ﷺ,

“I was still a young child and the Prophet ﷺ took me into his custody. I used to cling to him and he used to feed me.

As I grew up, he saw that I never uttered a lie, nor did I ever try to deceive people.

It was because in my eyes, the Prophet ﷺ was my guiding star, and I used to follow his actions and deeds very carefully.

You could say, I was attached to him like a foal of camel are attached to their mother.

On top of that, he ﷺ used to place before me high values of morality, and he ﷺ used to advise me to follow them.

Every year, he would spend a few days at the grotto of the Mount Hira and I used to accompany him.

In fact, I was his only companion then, and nobody was permitted to enter or meet him there at the grotto of Hira.

It was there that I used to see the light of revelation come down and I used to smell the fragrance of Prophet-hood upon the Prophet Muhammad.

Once the Prophet ﷺ himself told me:

“O Ali! You have attained a very high station with Allah. You see what I see and you hear what I hear.”

(Recorded in the Hilyatul Awliyah of Imam Abu Nu’aym Al-Asbahani ~ Also related in the Tafsir ad-Durr Al-Manthur by Imam Jalaludin Al-Suyuti)

21 Ramazan 💔
Yaum e Shahadat Ameerul Momineen
Imam Ali Ibne Abi Talib ‎(عليه السلام)

Huzoor Muhammad ‎(صلى الله عليه وآله وسلم)‎
Imam Ali ‎(عليه السلام) Ke Liye Farmate Hai :

Jo Koi Allah Aur Mera Qurb Chahta Hai,
Ushe Chahiye Ke Ali Ke Kareeb Ho Jaye..

Reference :
📚 Dhakhair Ul Uqba, Tabari, Pg.92

Hubbe Nabi Hai Mehre Ali
Mehre Ali Hai Hubbe Nabi

Nabi Ki Muhabbat Ali Ki Muhabbat
Ali Ki Muhabbat Nabi Ki Muhabbat

Subhan Allah

‎اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد

Rᴀsᴏᴏʟᴀʟʟᴀʜ (ﷺ) ɴᴇ Fᴀʀᴍᴀʏᴀ Hᴀᴅᴇᴇs Pᴀᴋ “Mᴀɴ Kᴜɴᴛᴏ Mᴀᴜʟᴀ Fᴀ Hᴀᴢᴀᴀ Aʟɪ-ᴜɴ Mᴀᴡʟᴀ”

Jɪsᴋᴀ Mᴀɪɴ Mᴀᴜʟᴀ Hᴏᴏɴ Usᴋᴀ Aʟɪ Mᴀᴜʟᴀ Hᴀɪ.❤️

Wʜᴏᴍᴇᴠᴇʀ I ᴀᴍ ʜɪs ᴍᴀsᴛᴇʀ (ᴍᴀᴜʟᴀ), ᴛʜɪs Aʟɪ ɪs ʜɪs ᴍᴀsᴛᴇʀ (ᴍᴀᴜʟᴀ).

#Shahadat_e_Maula_Ali۴

Zameeñ Pe Shor Hai Barpaa, Ali۴ Shaheed Huye..
Yateem Karte Haiñ Giryaa, Ali۴ Shaheed Huye..

Aduu Ne TeG Se Maari Hai Zarb Haider۴ ko,
Lahu Me Tar Hai Musalla, Ali۴ Shaheed Huye..

Udaas Ho ke Ye Kehte Haiñ Masjid-o-Mimbar,
“Salooni” Kaun Kahega, Ali۴ Shaheed Huye..

Jahaañ Se Hote Hai Rukhsat Khuda ke Sher Ali۴,
Ye Ro ke Kehta Hai Kaaba, Ali۴ Shaheed Huye..

Yateemi Aayegi Sar Par Janab-e-Zainabس ke,
Khabar Jo Degi Ye Fizzaس, Ali۴ Shaheed Huye..

Sunayi Deti Hai Kufe Me Aah Yateemoñ ki,
Sisak ke Kehte Haiñ Baba, Ali۴ Shaheed Huye..

Ali۴ ke Gham Me Yuñ Magmuum Saara Aalam Hai,
Malak bhi Padhte Haiñ Nauha, Ali۴ Shaheed Huye..

Tamam Aal-e-Muhammad۴ ko, Ali۴ Waaloñ ko,
Zuber Deta Hai Pursaa, Ali۴ Shaheed Huye..

21रमज़ान

आज उनकी शहादत का दिन है जिन्हें हज़रत अबू बकर और हजरत उमर रज़ियल्लाहो अन्हो समेत सारे सहाबा अपना मौला कहते थे।

जिनके जिस्म के अंदर के गोश्त को अल्लाह के रसूल ﷺ ने अपना गोश्त कहा, जिनकी रगों में बहने वाले मुक़द्दस खून को आका ﷺ ने अपना खून कहा और कुरान ने उनको अल्लाह के हबीब का नफ़्स क़रार देकर उनका मकाम कायनात को बताया।

जिनकी विलादत काबे में हुई, जिनकी शहादत मस्जिद में हुई।

जिन्होंने सबसे पहले अल्लाह के हबीब ﷺ का दीदार किया और सबसे पहले इस्लाम कबूल किया (बच्चों में )और सबसे पहले इमाम उल अंबिया हुजूर सरवरे कायनात ﷺ के पीछे बा’जमात नमाज पढ़ी।

जिन्हें हुजूर ने अपनी सबसे चहेती साहब जादी खातून ए जन्नत बीबी फातिमा ज़हरा सलामुल्लाह अलैह से निकाह कराया।

जिन की औलाद से आका ﷺ की नस्ले पाक आगे चली और पूरी दुनिया में फैली।

जिन पर विलायत का दरवाजा खुला।

जिन्होंने खिलाफत को ज़ीनत बख्शी जिनकी ज़ौज़ा कुल कायनात की औरतों की सरदार।

जिन के बेटे कुल जन्नती जवानों के सरदार।

वह कुल ओलिया के इमाम अमीरुल मोमिनीन हज़रत सैयदना मौला अली ए मुर्तजा करमल्लाहु वजाहुल करीम व अलैहिमुस्सलाम का आज 21 रमजान को शहादत हुई।

कौन है कायनात में मौला अली इब्ने अबी तालिब अलैहिमुस्सलाम जैसा कि खुद अल्लाह के हबीब हुज़ूर ﷺ ने फरमाया कि “ऐ अली तू मुझ से है मैं तुझ से हूं.”

खुल्द में बस वही जा सकता है जिसको हसनैन के बाबा की इजाजत होगी… اٙللّٰھُمّٙ الْعٙنْ قٙتٙلٙةٙ اٙمِیْرِ الْمُوْمِنِیْنؑ

इब्ने मुलज़िम और उसका साथ देने वाले तमाम मलऊन और उनके तमाम पैरोकार मलऊनो पर बेशुमार बेशुमार लानतें.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s

%d bloggers like this: