




• “Badshahi Aashoorkhana”
Shehr e Hyderabad Deccan ke tamaam aashoorkhano’n me ye aashoorkhana bhi bohot qadeem maanajaata aur tarz e tameer ke lihaaz se bhi behtreen maanajaata hai.
• Baani e Sher e Hyderabad Deccan “Sultan Muhammed Quli Qutub Shah” (1565-1612) ko fan e tameer se khaas dilchaspi thi lehaza sultaan ne shehr ki buniyad ke waqt Daulat Khana Shahi, Darwaza Aali, Daar Ush Shifa, Bagh e Jalwa Khana, Naqqar Khana Shahi, Masjid e Ja’ama ke saath hi saath 1003 Hijri me “Badshahi Aashoorkhana” bhi tameer karwaya.
• Ye baat badi waazeh hain ke imam baargaho’n, aashoorkhano’n se har kisi mazhab o millat ke maanne waale ko faiz mila hai issi tarha tawarikh me likha hain ke: “Badshahi Aahoorkhana” ki taiyyari se pehle Shehr e Hyderabad Deccan me waba phaili huwi thi aashoorkhane ki taiyyari aur usme Hazrat Sayyiduna Imam Hussain Alaihissalatu Wassalaam ki taaziyadari ke baad waba bilkul khatam hogayi.
• Is aashoorkhane ki khususiyaat me ye hain ke aap ko is me tarha tarha ke alam e mubarak istaad kiye huwe nazar aayenge jaise ke yahan Mughaliya saltanat, Qutub shahi saltanat aur Asifjaahi saltanat ke alam
e mubarak bhi dekhne ko bhi milenge.
• Zamana qadeem me sheher ko badi sakht pareshaniya’n aur masaaib ka saamna karna padha ussi dauraan aashokrkhane ka bada nuqsaan huwa aur kayi alam e mubarak choori kiye gaye lekin ye ahl e bait alaihimussaaam ka fazl o karam hain ke aashoorkhana phir se aabaad huwa aur aaj tak aabaad hai.
• Shehr e Hyderabad Deccan ka ye waahid aashoorkhana hai jahan 72 shahedaan e karbala ki yaad me 72 alam e mubarak istaad kiye jaate hain. Aur yehi aashoorkhane me Sultan Muhammed Quli Qutub Shah aiyyaam e muharram ki pehli shab ko 1000 charagh roshan karte the issi tarha 10 muhattam tak 10000 charagh roshan hoote the. SubhanAllah.
{ Badshahi Aashoorkhana, Madina Ln, Rikab Gunj, Ghansi Bazaar, Hyderabad, Telangana, India. }