














Shab_e_Zarbat #Shab_e_Gham
_
19 Ramzan Ki Shab,
Fazar me
Jab Ameerul Momineen Ali Ibne Abi Taalib ع ,
Masjid e Kufa Me Apni Namaz Ada Kar Rahe
Hotey Hain., Itne Me Abdur Rehman Ibne Muljim
(Lanati) Ne Douran e Namaz, Maula e Qayenaat ع
Ke Sar_e_Aqdas Pe Zehar Me Doobi Hui Talwar Se Waar Kiya.. Sar_e_Aqdas Par Zarb Lagtey Hee,
Maula Ali ع Ki Zubaañ Se Ye Alfaaz Nikle ::
👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇👇
“Rabb_e_Kaaba Ki Qasam, Mai Kamyaab Ho’gaya!”
_
Is Waar Ke Zakhm Aur Zehar Ke Asar Se,
21 Ramzan ko Maula Ali ع , Iss Duniya e
Faani Se Parda Farma Gaye…
Jab Maula Ali ع Ko Zakhmi Halat Me Paaya
Gaya, Tou Fouran Hakeem Ko Bulaya Gaya..,
Hakeem Ne Maula Ko Dekh’kar Kaha Ke
Khoon Bohat Nikal Chuka Hai, Isliye
Maula Ali ع Ko Dhoodh Pilaya Jaaye,
Taa’ke Inko Sukoon Haasil Ho.. Us Waqt,
Ibn Muljim (Lanati) Ko Bhi Giraftaar
Kar’ke, Maula Ali ع Ke Saamne Laya Gaya..
Maula Ali ع Ko Dekh’kar Ibne Muljim,
Khouf Se Kaanp Uthaa.. Maula Ali ع Ne
Jab Ibne Muljim ki Aisi Haalat Dekhi Tou
Aapne Farmaya ke, isko Thanda Sharbat
Isey Pila Do, Taa’ke Uska Khouf Khatm Ho…
Zarb Kha’kar Bhi Jo, Qaatil Ko Pilaye Sharbat,
Zeb Deta Hai Usey SAAQI E KAUSAR Hona !
_
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد ﷺ💚

सबसे पहला आतंकवादी इब्न ए मुल्जिम था जिसने सजदे की हालत मे मौला अली (अ) पे ज़हर बुझी तलवार से सर पे हमला किया 😭😭
इब्न ए मुल्जिम पे लानत उसको भेजने वाले उसके आक़ा पे लानत बेशुमार 😡😡
Maula Ali ne Imam Hasan se farmaya ki apni behen umme kulsum se kaho ke aaj 18 roza me apni beti ke Ghar iftar krungaa,Maula e Qayenat Pohche apni beti ke Ghar janabe umme kulsum ne dastar khwan sajaya ek zarf me doodh ek zarf me namak aur ek zarf me maula ki pasandida roti (jaw ki roti) rakhi
Maula ne farmaya Beti Ummul kulsum tumne apne baba ko bhula diya kya kabhi mere dastar khwan ne ek chiz se jyda chiz rahi hai. Phir umme kulsum ne chaha ke namak utha le lekin maula ne mana kr diya aur kaha ki doodh utha lo yaha kufe me yateem bohot hai unke paas peene ke liye doodh nhi hai, Phir maula ne namak aur jaw ki roti ke sath iftar kiya, Phir maula jab Bibi Umme kulsum ke ghar se bahar nikle toh Ghar ke bahar batakh(Duck) rasta rokne lage maula ke samne zor zor se awaaz nikalne lage Bibi Umme kulsum ne pucha baba yeh kya kr rhe hai toh Maula ne kaha ki yeh Noha kr rhe hai , Phir maula masjid e kufa me pohche aur soye hue logo ko uthaya aur waha pr Ibn Muljim bhi tha maula ne use bhi awaaz di Aur uthaya phir maula ne imamat ki namaz ki aur jab maula ne sajda kiya phir us lanati Ibn e Muljim ne talwar nikala aur maula ke sar par zarb laga di jo usne 1000 dirham me kharidi thi aur zeher me duba kr rakha hua tha ,Phir maula ne Sukr Adaa krte hue kaha “Fuztu Bi Rabbil Kaaba” (Rab e Kaaba ki Kasam me Kamyab ho gaya) Phir huqum Diya imam Hasan ko namaz muqammal krne ki Imam Hasan ne Namaz muqammal krwayi Phir Imam Hasan,Imam Hussain aur Hazrat Muhammad e hanafiya ne sambhala aur phir Ghar le gaye, logo ne Ibn Muljim ko pakad liya tha aur Maula ke pass pesh kiya use phir Maula Ali ne Hazrat e Abbas ko kaha Bete Abbas ise Sharbat pilao yeh khabraya hua hai aur phir farmaya jo tum khate ho ise khilao aur Jo tum peete ho ise pilao….


अय्यामएग़म__शबएज़रबत
मस्जिदएकूफा –: इमाम अली (अ.स.) की आँखों मे आँसू देख कर किसी ने पूछा .. मौला आप क्यूँ रो रहे हैं ?
क्यूँ आप इब्ने मुलजिम को देखते ही ग़म ज़दा हो जाते हैं ?
इमाम अली (अ.स.) ने फ़रमाया मै इब्ने मुलजिम की हयात चाहता हूँ मगर ये मेरी मौत चाहता है ..
मौला आप मौत से डरते हैं ?
मै मौत से नहीं डरता मगर ईद क़रीब है ..
मेरे बच्चे परदेस मे हैं …
उनकी माँ फ़ातेमा ज़हरा (स.अ.) भी नहीं हैं …
मेरी शहादत की ख़बर से इन बच्चों पे क्या गुज़रेगी …
19_रमज़ानकीशब —: इमाम अली (अ.स.) मुज़तरिब हैं …
रात के आख़िरी पहेर मौला अपनी बेटी के पास जाते हैं …
ज़ैनब (स.अ.) सो रहीं हैं ..
मौला बैठ जाते हैं …
चाहते हैं के ज़ैनब (स.अ.) को उठाये मगर नही उठा पाते हैं …..
इमाम अली (अ.स.) की आँखों के अश्क ज़ैनब (स.अ.) के रुखसार पे गिरते हैं ज़ैनब (स.अ.) घबरा के उठती हैं …
अमीरुल मोमेनीन कूफे के अमीर इमाम अली (अ.स.) आज रो रहे हैं …
बेटी बेचैन हो कर बाप से पूछती है ..
क्या हुआ बाबा क्यूँ रो रहे हैं ??
बाबा ने बेटी के सर पे शफकत से हाथ फेरा ..
प्यार किया ..
बहोत प्यार किया ..
दिलासा दिया ..
बाबा ने बेटी को अपनी शहादत की ख़बर सुनायी ..
कर्बला से शाम तक के सारे वाकेयात सुनाये ..
बेटी तुम्हें फिर कूफे आना है ..
असीर हो कर ..
हाथों मे रसन होगी शाम का बाज़ार होगा ..
रिदाये छिन चुकी होंगी …
बरहना सर होगी …
ज़ैनब (स.अ.) रोती जाती हैं …
बेटी मेरे बाद तुम्हें सानीये हैदर बन्ना है .. इमामत बचानी है …
इमामत को सहारा देना है ..
19 रमज़ान फज्र की आज़न से पहले मौला अली अ.स. बार-बार आसमान की तरफ देख कर अल्लाह से कह रहे हैं वादे वाला वक्त आ गया हैं जिस का वादा था …
सोये हुये कातिल को उठा कर नमाज़ ए फज्र अदा करने लगे ..
इमाम अली (अ.स.) सजदे मे थे इब्ने मुलजिम ने कारी ज़र्ब मारी
अल्लाह हो अकबर
कयामत गुज़र गयी
अल्लाह हुम्मा अल-अन कतालता अमीरुल मोमेनीन अलेहिससलाम
😭😭😭😭😭😭😭😭😭



“Rabb-e-Kaaba ki Qasam Mai Kamyab Hogaya!”
19 Ramzan ki wo raat thi, aur ye wo jagah thi jahan ibne muljim lanati (jisko Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne puri insaniyat me se 2 badbakht tareen insano me se ek karar diya tha) usne laeen ne is Muqaam par Ameer ul Momineen Maula-e-Kainat Sayyeduna Maula Ali al Murtaza KarramAllahu Wajhahul Kareem ke Sar-e-Aqdas pe zehar pe dubi talwar se waar kiya. Is waar ke zakham aur zehar ke asar se 21 Ramzan ko Maula Ali Alaihissalam is duniya e faani se parda farma gaye.
Jab us laeen ki talwar Aapke Sar-e-Aqdas pe lagi, Aapki Zubaan-e-Pak se Alfaz nikle
“Rabb-e-Kaaba ki Qasam Mai Kamyab Hogaya!”
19 Ramzan ki raat ko isliye
“Shab-e-Zarbat” kehte hai…..
Alaihissalam wa KarramAllahu Wajhahul Kareem wa RadiAllahu Ta’ala Anhu.